literature

Raahain aur Raahbar

Deviation Actions

AdNoctvm87's avatar
By
Published:
211 Views

Literature Text

Mujhko meri hi baaton main Rub mil gaya
Teray aanay say mujhko wo sub mil gaya
Jisko dhoonda main nay shaahkaron main tha
Wo chupa sur jo saazon k taaron main tha
Jiska jalwa chupa sub nazaaron main tha
Wo jo choota zameen ta hadood-e-falak
Wo samandar jo simta kinaaron main tha
Such chupa zindagi k isharon main tha
Such ko such jan'nay ka sabab mil gaya
Mujhko meri hi baton main Rub mil gaya
Jeenay marnay ka mujh ko adab mil gaya
Noor main dhoondta reh gaya main "klaam"
Aur main parh na saka ja bja uska naam
Meri aql-o-khirad bs hui yun tmam
K palkain jhukaye guzartay thay din
Aur palkain jhukaye guzarti thi sham
Mujh ko tum lay k aaye ho janib-e-bam
Jispay main nay kia jo talab, mil gaya
Mujhko meri hi baton main Rub mil gaya
Another urdu poem
© 2012 - 2024 AdNoctvm87
Comments2
Join the community to add your comment. Already a deviant? Log In
Kaali-Queen's avatar