literature

Baarish

Deviation Actions

AdNoctvm87's avatar
By
Published:
261 Views

Literature Text

Aaj,
jo meri aakhri saansain toot rahi hain
meri soch
aur teri yaadain rooth rahi hain
"wahan" say shayad bol na paaun!
Bol sakun main to bhi kuch
tum log mujhay kub sunn paao gy!?
Haan, ye talkh haqeeqat hay:
aakhir ko hum sub k sub nay
mitti main hi milna hay
Aur humaray naam ka ik gul
uss nagri main khilna hay
jiski jaanib main rawaan hun.
So, aaj
yahan par baithay sub insaanon
naujawaanon
ko ik baat batata jaaun...
Main,
aur meray jaisay kai anaari
khwaab bohat say daikhtay hain.
Khwaabon main kuch bura nahi hay.
par ye log
ye dunya waalay
andhay hain!
Unkay aagay khwaab sunana bura nahi hay
par unki baatain nafa' say khaali
unki niyyat aslan ja'li
wo tumko batlaaen gy
(aur meray jaisay kai anaari
unko maan bhi jaayen gy)
k "khwaabon main bs mnday hain"
ye log bohat hi gnday hain!

Magar, agar tum jaanay walay aik musaafir
ki baaton par kaan dharo
aur amal karo
to khwaabon ka bazaar lga lo
qasam say, ik baar laga lo
aur phir subko dikhla do
k kaisa maal bnaya tum nay
kaisa rangeen!
kaisa dilkash!
aur "Dunya" say koson dur!

Batlanay k baad faqat tum unko sun'na
k kaisay hay wo aag ki putli
jisko tum samjhay ho hoor
log tumharay maal k upar
aag bohat barsaayen gy
laikin tum parwah na karna
chaltay rehna!
Aakir ko bujh jaayen gy
unn baaton k jaltay sho'lay
barhtay jao holay holay
jaisay saawan paani dolay
qatrah, qatrah
rim jhim, rim jhim...
Follow your dreams. Never give up. Come what may.
© 2012 - 2024 AdNoctvm87
Comments4
Join the community to add your comment. Already a deviant? Log In
DiVensen's avatar

Bro yeh boht sahi hain!! best line was "khaabon main mnday hain or yeh sab gnday hain" 😂